samundar ne ye KHali sipiyan
kaise ugal din
aa ke sahil par
main pahle bhi kaha karta tha
tujh ko yaad ho shayad
ki teri ruh ke gahre samundar mein
mera dil ek sipi hai
magar main ne kabhi teri mohabbat ko numaish mein nahin rakkha
main un logon se chiDta tha
jo afsane kaha karte hain yaron se mohabbat ke
magar waise bhi duniya mein kisi ki kaun sunta hai
sunata hai koi jab apni baaten
sunne wali apni baaten yaad karte hain
magar ye kaisi raaten hain
ki aksar sote sote chaunk uThta hun
mujhe to nind bhi ek qarz chashm-e-ambar hai
main sota jagta rahta hun
ek aise musafir ki tarah
jis ko kisi chhoTe se station pe
gaDi se utarta ho
tere hilte hue hathon se
ye kaisi hawa aai
meri jaan tujh se ruKHsat ho ke
main kitna akela tha
aur duniya so rahi thi
us dil ki tarah
jis ne abhi rona na sikha ho
koi konpal
kabhi zor-e-numu mein
sang-basta KHak se laDti hui
bahar nikalti hai
ki jaise shoKH bachche
hath aur daman chhuDa kar
ghar se bahar bhag jaen
aur guzargahon pe so jaen
guzar-gahon se bachchon ko uTha kar lao
aur gahwara-e-jaan mein sula do
wo jagenge to un ke KHwab pure ho chuke honge
so aaKHir yun hua
ummid ki shaKHon pe aise barg-o-bar aae
meri jaan
tera milna tishnagi ke dasht mein
wo aab-e-taza tha
jo shabnam bhi hai dariya bhi hai
aur ruh mein gham ho to aansu bhi
mujhe aansu nahin milte nahin milte nahin milte
wo shab bhi kaisi shab thi
jis ka naqd-e-subh ab tak qarz hai
jo mujh se puchhta hai
ab mehnat ko kahan le jaoge
kis dil mein rakhoge
main chup tha
tu bhi chup thi
aur KHamoshi ke lamhon ke
guzarte qafile
sanson ki aawaz-e-jaras ja rahe the
ek manzil ki taraf
jo nisf jannat nisf dozaKH thi
main kitna sang-dil hun
jo teri jannat pe KHush hota nahin
dozaKH pe hansta hun
Nazm
Ek KHat
Saleem Ahmed