hawaon ke taaqub mein
main ek titli se Takra ke zamin par gir paDa hun
paron ki gudgudahaT se
mere mathe se KHun bahne laga hai
mujhe yaksaniyat se KHauf aata hai
zyaada der ek hi kaifiyat mein zinda rahna kitna mushkil hai
purane mausamon ki nauha-KHwani mein
nae mausam ki KHwahish paida hoti hai
main apne halaq ke andar kuan tamir karta hun
main uD sakta hun
lekin meri be-tabi ko jaane kaun si mauj-e-hawa
aaghosh mein legi
main thak ke baiTh sakta hun
magar sari zamin mere liye aundhi paDi hai
meri sochon ke markaz se nikalte raston par
mere naqsh-e-pa ke be-tartib KHakon mein
ab aankhen ug gain hain
hawa ke hath mein ek lauh mera KHwab-nama hai
hawaon ke taaqub mein agar main mar gaya
to kaun meri lahad par us lauh ko katba banaega
Nazm
Ek katbe ki talash mein
Qasim Yaqub