raat kal fazaon mein teri hi kahani thi
hum bhi sunne wale the dil ki pasbani thi
aasman se aamad thi gum-shuda KHayalon ki
jis qadar tasawwur tha itni shadmani thi
dur sari duniya se ek nagar basaya tha
us ka ek raja tha us ki ek rani thi
zulf-o-ruKH ki baaten thin din tha aur raaten thin
subh kitni rangin thi sham kya suhani thi
yaad hain wo din ab tak jab hasin raaton mein
teri gungunahaT par meri naghma-KHwani thi
tere ek tabassum par waqt bhi Thahar jata
is mein kab tarannum tha is mein kab rawani thi
aansuon se jita tha gauhar-e-mohabbat ko
teri kaamrani bhi kaisi kaamrani thi
kitni garm-joshi thi kitni girya-o-zari
kitni sard-mehri thi kitni sargirani thi
ye meri KHudai thi ya teri KHuda jaane
meri lan-tarani par teri be-zabani thi
main ne tujh ko kab samjha main ne tujh ko kab paya
main zamin ka banda tu ruh aasmani thi
Nazm
Ek kahani
Masud Husain Khan