mere kamre mein phaili hai ek kahani
abhi zara si der hui hai
main ne ek maile kaghaz par
harfon ke TukDe joDe the
aur kahani ko thoDi si jagah mili thi
phir lafzon ke tane bane bikhar gae the
jin lafzon se aankh-micholi khelte khelte
bit gaya hai itna waqt
ki ab to yaad bhi kab aata hai
apne jism ki qaid mein hain hum ya bahar hain
itna waqt ki manzar sare pighal gae hain
ojhal hain taswir ke rang mein ya zahir hain
aur kahani kaghaz se bah nikli hai
sare kamre mein phaili hai
sab darwazon aur darichon se lipTi hai
sari kitaben aundhi kar ke
un se wo sab lafz nikal ke le aai hai
jo hum ne ek sath paDhe the
meri almari se band lifafe khol ke
sare KHwab uTha lai hai
jo hum ne ek sath bune the
aur zamin se chhat tak kaise bechaini se bhaTak rahi hai
thak jati hai aur meri aankhon se bahne lag jati hai
bistar ke niche chhup kar aahen bharti hai
mere kandhe par sar rakh ke so jati hai
aur kabhi khiDki ke paT par matha Tek ke kho jati hai
mere kamre mein phaili ye ek kahani
ghat mein hai ab
koi rauzan-e-dar darwaza khul jae to
ye is habs-zada kamre se bahar nikle
jaise mere dil ki ek ek rag ko chir ke bah nikli thi
Nazm
Ek kahani
Ambarin Salahuddin