bichhaDte lamhon mein
us ne mujh se kaha tha dekho
hamari rahen juda juda hain
magar hamein ek dusre ka KHayal rakhna hai zindagi bhar
kisi bhi lamhe udasiyon ki
fasil hail na hone dena
hawa ke hathon pe likhte rahna
judaiyon ke tamam qisse
qadam qadam par jo pesh aaen
wo sanehe bhi nazar mein rakhna
main jab bhi lauTa to apne honTon ki tazgi ko
tumhaari bujhti hui in aankhon mein la rakhunga
jo meri apni hain sirf meri
bichhaDte lamhon mein us ne mujh se na jaane kya kuchh kaha suna tha
aur ab
use bhi yahi kahega
wo jis ke hathon mein hath Dale
nae safar par nikal paDa hai
Nazm
Ek jaisa mukalima
Noshi Gilani