اردو हिंदी
Ek ittifaqi maut ki rudad | Shaahi Shayari
ek ittifaqi maut ki rudad

Nazm

Ek ittifaqi maut ki rudad

Mohammad Anvar Khalid

;

sarasar ittifaqi maut thi
us ne kaha tha mujh ko jaana hai

so wo aise gaya jaise zamin se ghas jati hai
sarasar ittifaqan

panw chalne ke liye hote hain
itna to sabhi taslim karte hain

to aise mein agar miTTi ki uryani shikayat-gar bhi ho jae
to us par aur miTTi Dal dete hain

so hum ne Dal di miTTi-pe-miTTi
ittifaqan

ye to hota hai
sarasar ittifaqi hadisa tha

us ne KHud likha tha
duniya beach aana ittifaqi amr hai

jaana sarasar hadsati
to us par to adalat ne bhi kuchh hujjat nahin ki

us ne KHud likha tha
hujjat nafsiyati aariza hai

so adalat ne bila taftish use jaane diya
jaise zamin se ghas jati hai

sarasar ittifaqan
bil-umum aisa hi hota hai

hamesha ittifaqan