suraj Dhalta hai
aur bam girta hai
aur bam girte hain
suraj Dhalne se
suraj chaDhne tak
chaDhe hue din mein bhi idhar udhar
bam girte rahte hain
lekin koi chiKH sunai nahin deti
pahle deti thi
ab koi nahin rota
gahre gahre gaDhe hain aur gaDhon
mein
galta hua insani mas hai bacha-khucha
aur chaaron jaanib
inTen patthar sariya TuTe hue
darwaze khiDkiyan kutta billi chil
aur Dare Dare kuchh log
udhar udhar se jhankte hain
udhar udhar chhup jate hain
bam girta hai
lekin ek khanDar mein cigarette jalta hai
bujhta hai
jalta hai
Dar ghusse mein Dhalta hai
rocket chalta hai
rocket chalta hai
duniya chiKHti hai
aur bam girta hai
to
kisi ko sunai nahin deta
kisi ko dikhai nahin deta
Nazm
Ek intihai ghair-jazbaati report
Javaid Anwar