jashn-e-nauroz bhi hai
jashn-e-bahaaran bhi hai
shab-e-mahtab bhi
jashn-e-mah-e-taban bhi hai
sunte hain
aaj hi jashn-e-shah-e-KHuban bhi hai
aaiye ai dil-e-barbaad
chalen hum bhi wahan
jashn ki raat hai
saughat to baTti hogi
apne hisse ki
chalen hum bhi uTha len saughat
dard ki
aaKHiri sine se laga len saughat
aur phir yun ho
ki jab sham Dhale
os mein bhig ke
gul-mohr ki KHushbu phaile
yaad ki chandni
be-KHwab darichon pe gire
phir usi jashn ki
ye raat mere kaam aae
dard ki aaKHiri saughat
mare kaam aae
aaKHir shab
shab-e-aKHir Thahre
zid pe aaya hua ye dil Thahre
toD dun shisha
jo hasti ka bhi phir jam aae
kaam aae
to ye saughat mere kaam aae
jashn ki raat hai
yun nazr gizari jae
ek ek aarzu sadqe mein utari jae
Nazm
Ek ek aarzu sadqe mein utari jae
Naseem Syed