mohabbat aah teri ye mohabbat raat bhar ki hai
teri rangin KHalwat ki latafat raat bhar ki hai
tere shadab honTon ki inayat raat bhar ki hai
tere mastana boson ki halawat raat bhar ki hai
mah-e-raushan hai tu aur teri talat raat bhar ki hai
gul-e-shabbu hai tu aur teri nikhat raat bhar ki hai
tu kya jaane ki sauda-e-mohabbat kis ko kahte hain
mohabbat aur mohabbat ki latafat kis ko kahte hain
gham-e-hijran hai kya aur soz-e-ulfat kis ko kahte hain
junun hota hai kaisa aur wahshat kis ko kahte hain
tu kya jaane gham-e-shab-ha-e-furqat kis ko kahte hain
tere izhaar-e-ulfat ki fasahat raat bhar ki hai
nigah-e-mast se dil ko mere taDpa rahi hai tu
ada-e-shauq se jazbaat ko bhaDka rahi hai tu
mujhe bachche ki surat naz se phusla rahi hai tu
khilaune de ke boson ke mujhe bahla rahi hai tu
magar nadan hai tu aah dhoka kha rahi hai tu
tera ru-e-daraKHshan hai ba-zahir mahtab-asa
tere honTon ki shadabi hai rangat mein sharab-asa
tere ruKHsar ki mahtabiyan hain aaftab-asa
magar in ki haqiqat hai habab-asa sarab-asa
ki ghaze ki sabahat us pe chhai hai naqab-asa
aur is ghaze ki bhi jhuTi sabahat raat bhar ki hai
ye mana teri KHalwat ki faza ruh-e-gulistan hai
teri KHalwat ka har fanus ek mahtab-e-larzan hai
tera abreshmi bistar nahin ek KHwab-e-KHandan hai
tera jism aafat-e-dil tera sina aafat-e-jaan hai
tu ek zinda sitara hai jo tanhai mein taban hai
magar kahte hain taron ki hukumat raat bhar ki hai
latafat se hain KHali tere kumhlae hue bose
tarawat se hain KHali tere murjhae hue bose
nazakat se hain KHali tere ghabrae hue bose
haqiqat se hain KHali tere sharmae hue bose
mohabbat se hain KHali tere ghabrae hue bose
aur in boson ki ye jhuTi halawat raat bhar ki hai
tere zahrile bose mujh ko jis dam yaad aaenge
mere honTon pe kale nag ban kar thartharaenge
pashemani ke jazbe mujh ko diwana banaenge
mere inkar ko nafrat ke KHanjar gudgudaenge
mere dil ki ragon mein gham ke shoale tair jaenge
main samjha! aah samjha! ye masarrat raat bhar ki hai
mujhe diwana karne ki masarrat be-KHabar kab tak
rahegi mere dil mein teri ulfat kargar kab tak
mujhe mashur rakkhega ye ishq-e-be-samar kab tak
haqiqat ki sahar aaKHir na hogi parda-dar kab tak
mujhe maghlub kar ke KHush hai tu zalim magar kab tak
teri ye fath meri ye hazimat raat bhar ki hai
Nazm
Ek husn-farosh se
Akhtar Shirani