meri jaan go tujhe dil se bhulaya ja nahin sakta
magar ye baat main apni zaban par la nahin sakta
main tujh ko chahta hun walihana pyar karta hun
main gata rahta hun par ye naghma ga nahin sakta
tujhe apna banana maujib-e-rahat samajh kar bhi
tujhe apna bana lun ye samajh mein aa nahin sakta
bana sakta hun shab ko apne bistar ki tujhe zinat
magar din mein tere qasr-e-hasin tak ja nahin sakta
hua hai bar-ha ehsas mujh ko is haqiqat ka
tere nazdik rah kar bhi main tujh ko pa nahin sakta
mere dast-e-hawas ki dastaras hai jism tak tere
main teri ruh ki gahraiyon tak ja nahin sakta
main tere ras-bhare honTon ko pyari chum sakta hun
magar main tere dil par aah qabza pa nahin sakta
tere dil ki tamanna bhi karun to kis bharose par
main KHud dargah mein tere ye tohfa la nahin sakta
meri majburiyon ko bhi bahut kuchh daKHl hai is mein
tujhi ko morid-e-ilzam main Thahra nahin sakta
main tujh se baDh ke apni aabru ko pyar karta hun
main apni izzat-o-namus ko Thukra nahin sakta
tere mahaul ki pasti ka tana dun tujhe kyun-kar
main KHud mahaul se apne rihai pa nahin sakta
Nazm
Ek husn-farosh laDki ke nam
Gopal Mittal