mere yar
tera mera ek hi rasta hai
ki palkon se sahra ba-sahra chamakdar zarraat chun kar
sharabor muTThi mein mahfuz karte rahen
aur sar-e-sham
phaila ke in ko hatheli pe dekhen
ki aaya koi reza-e-zar bhi hasil hua ya nahin
kitab-e-muqaddar bhi naqsh-e-izafa na utre
to batn-e-tafakkur ko ummid ke nan-e-shirin se bhar kar
shagufta shuaon mein sar ko jhukae
usi apni mansub rah pe nikal jaen
palkon se zarraat chunne ki KHatir
ghurub-e-shafaq tak
Nazm
Ek hi rasta
Zameer Azhar