mere pahlu-ba-pahlu jab wo chalti thi gulistan mein
faraaz-e-asman par kahkashan hasrat se takti thi
mohabbat jab chamak uThti thi us ki chashm-e-KHandan mein
KHamistan-e-falak se nur ki sahba chhalakti thi
mere bazu pe jab wo zulf-e-shab-gun khol deti thi
zamana nikhat-e-KHuld-e-barin mein Dub jata tha
mere shane pe jab sar rakh ke ThanDi sans leti thi
meri duniya mein soz-o-saz ka tufan aata tha
wo mera sher jab meri hi lai mein gungunati thi
manazir jhumte the baam-o-dar ko wajd aata tha
meri aaankhon mein aanhken Dal kar jab muskuraati thi
mere zulmat-kade ka zarra zarra jagmagata tha
umanD aate the jab ashk-e-mohabbat us ki palkon tak
Tapakti thi dar-o-diwar se shoKHi tabassum ki
jab us ke honT aa jate the az KHud mere honTon tak
jhapak jati thin aanhken aasman par mah o anjum ki
wo jab hangam-e-ruKHsat dekhti thi mujh ko muD muD kar
to KHud fitrat ke dil mein mahshar-e-jazbaat hota tha
wo mahw-e-KHwab jab hoti thi apne narm bistar par
to us ke sar pe maryam ka muqaddas hath hota tha
KHabar kya thi ki wo ek roz mujh ko bhul jaegi
aur us ki yaad mujh ko KHun ke aansu rulaegi
Nazm
Ek ghamgin yaad
Asrar-ul-Haq Majaz