adhuri laDkiyo
tum apne kamron mein purane sal ke bosida calender saja kar sochti ho
ye badan umron ki sazish mein na aaenge
tumhein kis ne bataya hai
ghaDi ki suiyon ko rokne se dauDta aur hanpta suraj misal-e-naqsh-e-pa
aflak par jam jaega
tumhein malum hai uryaniyon ko Dhanp kar tum aur uryan ho rahi ho
roz in aankhon ki tikDi mein tumhaare jism tulte hain
har ek shab hostel mein tash ki bazi mein tum ko jit kar ek jashn hota hai
hamari KHwab-gahon mein tumhaare KHwab raushan hain
chali aao
ki bahar barf hai
aur ab hamein tum se juda bistar kahan taslim karte hain
chali aao ki umren raegan hone se bach jaen!
Nazm
Ek ghair-alamti nazm
Javaid Anwar