اردو हिंदी
Ek dost ki KHush-mazaqi par | Shaahi Shayari
ek dost ki KHush-mazaqi par

Nazm

Ek dost ki KHush-mazaqi par

Asrar-ul-Haq Majaz

;

ho nahin sakta teri is KHush-mazaqi ka jawab
sham ka dilkash saman aur tere hathon mein kitab

rakh bhi de ab is kitab-e-KHushk ko baala-e-taq
uD raha hai rang-o-bu ki bazm mein tera mazaq

chhup raha hai parda-e-maghrib mein mahr-e-zar-fishan
did ke qabil hain baadal mein shafaq ki surKHiyan

maujzan ju-e-shafaq hai is tarah zer-e-sahab
jis tarah rangin shishon mein jhalakti hai sharab

ek nigarish-e-atishin har shai pe hai chhaya hua
jaise aariz par urus-e-nau ke ho rang-e-haya

shana-e-giti pe lahrane ko hain gesu-e-shab
aasman mein munaqid hone ko hai bazm-e-tarab

uD rahe hain justuju mein aashiyanon ke tuyur
aa chala hai aaine mein chand ke halka sa nur

dekh kar ye sham ke nazzara-ha-e-dil-nashin
kya tere dil mein zara bhi gudgudi hoti nahin

kya teri nazron mein ye ranginiyan bhati nahin
kya hawa-e-sard tere dil ko taDpati nahin

kya nahin hoti tujhe mahsus mujh ko sach bata
tez jhonkon mein hawa ke gungunane ki sada

sabza-o-gul dekh kar tujh ko KHushi hoti nahin
uf tere ehsas mein itni bhi rangini nahin

husn-e-fitrat ki latafat ka jo tu qael nahin
main ye kahta hun tujhe jine ka haq hasil nahin