barishen us ke badan par
zor se girti rahin
aur wo bhigi qaba mein
der tak chalti rahi
surKH tha us ka badan
aur surKH thi us ki qaba
surKH thi us dam hawa
barishon mein jangalon ke darmiyan chalte ho
bhigte chehre ko ya us ki qaba ko dekhte
bans ke gunjaan raston pe kabhi baDhte hue
us ki bhigi aankh mein khulti dhanak takte hue
aur kabhi pipal ke gahre surKH sayon ke tale
us ke bhige honT pe kuchh titliyan rakhte hue
barishon mein bhigte lamhe use bhi yaad hain
yaad hain us ko bhi honTon pe saji kuchh titliyan
yaad hai mujh ko bhi us ki aankh mein khulti dhanak
Nazm
Ek dhundli yaad
Tabassum Kashmiri