sub-way mein nazar aai mujhe ek hasina
rusi nazar aati thi haqiqat mein thi china
andar ki faza aur thi bahar ki faza aur
mada thi magar chaal se lagti thi narina
boli ki mujhe log pukara kiye mary
daddy ne mera nam to rakha tha marina
shalwar ko nekar kiya banyan ko rumal
main rah-e-taraqqi pe chaDhi zina-ba-zina
ab mujh ko dupaTTe ki zarurat hi nahin hai
maghrib ne sikhaya mujhe jine ka qarina
main ek hi andaz ke kapDon mein milungi
ho june ka session ki december ka mahina
desi thi magar rup mein kali ki tarah thi
wo garm bahut chae ki pyali ki tarah thi
pistol ki tarah aankh to goli ki tarah honT
aur nak to banduq ki nali ki tarah thi
aai thi yahan zulf-e-girah-gir kaTa kar
mashriq ki hawa baad-e-shumali ki tarah thi
us ka bhi na tha meri tarah koi bharosa
bengan ki tarah main hun wo thaali ki tarah thi
har uzw-e-badan misra-e-ghaalib ki tarah tha
chehre ki chamak matla-e-haali ki tarah thi
Nazm
Ek desi hasina se mulaqat
Khalid Irfan