chand kyun abr ki us maili si gaThri mein chhupa tha
us ke chhupte hi andheron ke nikal aae the naKHun
aur jangal se guzarte hue masum musafir
apne chehron ko kharonchon se bachane ke liye chiKH paDe the
chand kyun abr ki us maili si gaThri mein chhupa tha
us ke chhupte hi utar aae the shaKHon se laTakte hue
aaseb the jitne
aur jangal se guzarte hue rahgiron ne gardan mein utarte
hue danton se suna tha
par jaana hai to pine ko lahu dena paDega
chand kyun abr ki us maili si gaThri mein chhupa tha
KHun se luthDi hui raat ke rahgiron ne do zanu pa gir kar,
raushni, raushni! chillaya tha, dekha tha falak ki jaanib,
chand ne gaThri se ek hath nikala tha, dikhaya tha chamakta hua KHanjar
Nazm
Ek daur
Gulzar