us ne apne dil ki kali dharti par ek daraKHt ugaya tha
pahle is par ummidon ke phal aate the
is ki shaKHen KHushbuon ke patton se bhar jati thin
yaadon ki KHushbuen faza mein bikhar jati thin
kabhi kabhi raaton ki mayusi ki shabnam
sare daraKHt ko dho deti thi
phulon mein nokile kanTe bo deti thi
phir bhi main duniya ki jalti dhup se ghabra kar
akasr is ke sae mein aa jata tha
sukh pata tha
lekin ab ye daraKHt to jaise sang-e-safed ka hai
is ki shaKHen dudhiya dhat ki hain
ab is par TeDhe-meDhe maKHruti aur murabba shaklon wale
lohe ke phal aate hain
is ka saya garm dahakte angaron ki aag hai
is ki KHushbu bahte KHun ka rag hai
mere dil ki miTTi par ab koi daraKHt nahin hai nag hai
phan phaila kar baiTha hai aur apne jism ko Dasta hai
jism ab is ka jism nahin hai
pile KHun ka rasta hai
Nazm
Ek daraKHt
Shahzad Ahmad