main kulhaDe se nahin Dara
na kabhi aare se
main to KHud kulhaDe ke phal aur aare ke daste se juDa hun
main chahta hun
koi aankh mere badan mein utre
mere dil tak pahunche
koi mohtat aari
koi mashshaq hath mujhe tarash kar
mallahon ke liye kashtiyan
aur maktab ke bachchon ke liye taKHtiyan banae
is se pahle
ki meri jaDen buDhi daDh ki tarah hilne lagen
ya meri KHushk Tahniyan aapas mein ragaD kha kar jangal ki aag ban jaen

Nazm
Ek daraKHt ki dahshat
Saeeduddin