chhoD de yar ab khel tamashe
dekh swang rachate apna asli chehra kho baiThega
apne aap se jo ek rasmi sa rishta hai
hath us se bhi dho baiThega
chhoD de jhuTi shahwat ke masnui dawe
ishq-o-mohabbat ke ye jali nare
lazzat bhare talamuzon ke bazari nutfe
jinnati tashbihon mein in chhoTi chhoTi kamingiyon ke giraate haklate buTe
be-mani ayyar dalilen
mange tange falsafiyon ke farzi Tone
chhoD tawiz aur dhage khel tamashe
banda ban ja
ab to man ja
sidhe munh ab aadam-zadon jaisi hum se baaten kar
warna jo tu nahin hai is ki naql utarte
tera munh bhi TeDha-meDha ho jaega
teri in jali nazmon ka Tona ulTa ho jaega

Nazm
Ek Dabba shair ke liye nazm
Sarmad Sahbai