jism hai tera rang ki duniya
rup hai tera nur ki wadi
tu bhi majbur hai clerki par
ai clerkon ke dil ki shahzadi
teri aankhen surur ka mandir
teri zulfen bahaar ka maskan
aur Type ki gat pe nachta hai
tera doshiza naghmai joban
tere un aarizon ke phulon par
gulistan ka guman hota hai
aur tera ghurur-e-zebai
filon se lipaT ke rota hai
apni zau se jhijak raha hai charagh
tujh se Darti hai teri parchhain
zindagi ki zaruraten tujh ko
kin ajab raston pe le aaen
tu bhi wo sher-e-dil-nashin hai jise
aaj tak koi qadr-dan na mila
KHud sarapa bahaar hai lekin
tera apna chaman kabhi na khila
aaj tak tu ne zaKHm khae hain
rang-afshan gulon ke dhoke mein
aa saja lun tere tajassus ko
apne ehsas ke jharoke mein
aaina kis liye hai zang-alud
phul ki pankhuDi pe sil kyun hai
dekh kar tujh ko sochta hun main
zindagi itni tang-dil kyun hai
Nazm
Ek clerk laDki
Naresh Kumar Shad