gale par laga kar nishan
jis ghaDi doctor ne ye mujh se kaha
aur to sare parhez KHatm aap ke aaj se
shawe mat kijiyega
jab talak ye gale ki sekai chale
shawe mat kijiyega
to sari mashiyyat KHuda ki samajh mein mere aa gai
are
mujh ko daDhi se inkar kab tha jo ye ruKH nikala gaya
main to KHud shawe ke nam se
yun bidakta raha aaj tak jaise pani se billi
han meri sas ko kuchh zarur etaraazat the
jin ki izzat ki KHatir
main daDhi nahin rakh saka
magar un ko bhi main
agar waqt milta to samjha hi leta
KHair
ab to jo hona tha ho hi gaya
yun bhi kis ko bhala koi mauqa mila hai KHuda ke huzur
baat rakhne ki apni
to ye baat hai
yani main
shakl se pakka sachcha musalman na lagne ke shak mein gaya
Nazm
Ek cancer ke mariz ki baD-baD
Shariq Kaifi