azizo!
agar raat raste mein aae
agar dana o dam ka sehr jage
agar uDte uDte kisi roz tum aashiyan bhul jao
to pichhli kahani mein maujud jugnu se dhoka na khana
kahani, nahin dekhti gham ke nam ko
kahani nahin jaanti kaif-o-kam ko
kahani ko wahm-o-guman ki kaThin rah se kaun roke
kahani ka pairaya KHwahish ka qaidi nahin
pairahan koi badle to badle,
kahani badalti nahin hai
azizo!
agar raat aae to raste mein paDti
meri jhonpaDi ka diya dekh lena
main KHud aDe uDte yahin par gira tha
Nazm
Ek buzurg shaer parinde ka tajraba
Tabish Kamal