اردو हिंदी
Ek bimar subh | Shaahi Shayari
ek bimar subh

Nazm

Ek bimar subh

Rashid Jamaal Farooqi

;

agar mazur ho
chusti se pur logon ko dekho

andhere munh wo, ek aKHbar wala
guzishta roz ki sab lanaton ko roll kar ke

tumhaare band darwaze pe
kab ka phenk kar ja bhi chuka hai

tumhaara dudh wala
shir-KHwaron ki subh hone se pahle

dudh de kar ja chuka hai
agar mazur ho

khiDki ke shishon se chipak kar baiTh jao
aur dekho

ki ye school jate hur o ghilman
kitne bhaari bag thame

hanste gate ja rahe hain
un ke sar ke Thik upar

chahchahate ghol chiDiyon ke
talash-e-rizq mein jate hue dekho

agar mazur ho
shamil nahin ho gahmagahmi mein

to kya
khiDki ke shishon se chipak kar baiTh jao