ek bar phir
faqiron ka bhes liye
mere dar par
ayyar aa khaDe hue hain
ye wahi to hain
jo ek bar pahle
mujh se mera naqsh le kar
hathon mein thama gae the
jannat ka ek hasin TukDa
jo un ke jate hi
dozaKH ban gaya tha
chand sal baad
wo mujh se ek aur naqsh le kar
is ke badle
de gae the ek samundar
jo is dozaKH ko bujha sakta tha
lekin un ke chale jaane ke baad
wo samundar
tufan-e-nuh ban gaya
aur aaj phir
wo mere dar par khaDe hain
kandhon par liye hue ek kashti
aur naqsh hath mein liye
main soch raha hun
kya ye kashti
mujhe tufan se nikal sakegi?
Nazm
Ek bar phir
Sadiq