hum KHali peT sarhad par
hathon ki amn zanjir nahin bana sakte
bhuk hamari raaten KHushk kar deti hai
aansu kabhi pyas nahin bujhate
rajaz qaumi tarana ban jae
to zarKHezi qahat ugane lagti hai
bachche man ki chhatiyon se
KHun chusne lagte hain
koi chehron pe parcham nahin banata
aur yaum-e-azadi par log
phul-jhaDiyan nahin apni KHushiyan jalate hain
fauj kabhi naghme nahin gunguna sakti
ki sipahi khetiyan ujaDne wale
KHud-kar auzar hote hain
kya phul nau-biyahata aurat ke baalon
aur bachchon ke libas par hi jachta hai
kash
watan ki had hudud ke tayyun ke liye
phulon ki kiyariyan
aahini-taron ka mutabaadil hotin
Nazm
Ek awami nazm
Zahid Imroz