pathrile kohsar ke gate chashmon mein
gunj rahi hai ek aurat ki narm hansi
daulat taqat aur shohrat sab kuchh bhi nahin
us ke badan mein chhupi hai us ki aazadi
duniya ke mabad ke nae but kuchh kar len
sun nahin sakte us ki lazzat ki siski
is bazar mein go har mal bikau hai
koi KHarid ke lae zara taskin us ki
ek sarshaari jis se wo hi waqif hai
chahe bhi to us ko bech nahin sakti
wadi ki aawara hawao aa jao
aao aur us ke chehre par bose do
apne lambe lambe baal uDati jae
hawa ki beTi sath hawa ke gati jae
Nazm
Ek aurat ki hansi
Fahmida Riaz