KHud-fahmi ka arman hai tariki mein ru-posh
tariki KHud be-chashm-o-gosh!
ek be-payan ujlat rahon ki alwand!
sinon mein dil yun jaise chashm-e-az-e-sayyaad
taza KHun ke pyase afrangi mardan-e-rad
KHud dewe-e-ahan ke manind
dariya ke do sahil hain aur donon hi napaid
shar hai dast-e-siyah aur KHair ka hamil ru-e-safed
ek bar-e-mizhgan ek lab-e-KHand
sab paimane be-sarfa jab sim-o-zar mizan
jab zauq-e-amal ka sar-chashma be-mani hizyan
jab dahshat har lamha jaan-kand
ye sab ufuqi insan hain ye un ke samawi shahr
kya phir un ki kamin mein waqt ke tufan ki ek lahr?
kya sab virani ke dil-band
Nazm
Ek aur shahr
Noon Meem Rashid