اردو हिंदी
Ek aur maut | Shaahi Shayari
ek aur maut

Nazm

Ek aur maut

Shahryar

;

kaT gaya din Dhali sham shab aa gai
phir zamin apne mahwar se haTne lagi

chandni karwaTen phir badalne lagi
aahaTon ke sisakte hue shor se

phir makan bhar gaya
zahr sapnon ka pi kar

koi aaj ki raat phir mar gaya!