hum 
ek jahannam mein rahte hain 
na jaane kahan se 
aag 
lahraati hui aati hai 
hiddat se 
hamare badan jhulasne lagte hain 
tapish 
hamari sanson mein shamil ho gai hai 
main sulagne se bachne ke liye 
ek aadmi ki aaD mein ho jata hun 
wo 
mujh se pahle sulgega 
main 
izafi lamhe milne par 
us ka shukriya ada karta hun 
aur bhul jata hun 
ek aur aadmi 
meri aaD mein khaDa hua hai
        Nazm
Ek aur aadmi
mustafa arbab

