sham sham jaisi thi raston pe halchal thi
kaam karne wale sab
apna farz ada kar ke
apne apne maidan se
kuchh thake to kuchh haare
apne ghar ko jate the
bhiD thi dukanon par
ghar ko lauTne wale
agli subh ki KHatir
ruk ke mal lete the
har kisi ko jaldi thi
aur sham Dhalti thi
ek hum the aawara
kal na tha koi sauda
is liye saDak par hum
dhire dhire baDhte the
bhagte hue logon par nigah karte the
aur un pe hanste the
apni mastiyon mein gum
be-niyaz duniya se
aage baDh rahe the hum
muskura rahe the hum
lekin ek manzil par
hum ThiThak gae ek dam
ek ajnabi laDki
hum pe ek nazar kar ke
KHub KHub hansti thi
munh ko pher leti thi
phir palaT ke wo hum ko dekhti thi hansti thi
jaane apne jaison par
us ki khilkhilahaT ne
kaun sa asar Dala
kis ne jaane kya socha
kis ne jaane kya samjha
hai KHabar mujhe apni
meri mastiyan sari
sham ke dhundalke mein
dur hoti jati thin
KHud pe sharm aati thi
aur wo shoKH si laDki
hum pe hansti jati thi
ab meri nigahon ko apna dhyan aaya tha
ajnabi si laDki ne dil bahut jalaya tha
ab main zat ka apni KHud tawaf karta tha
apne aks ko apne aaine mein takta tha
ab niyaz-mandi thi meri be-niyazi mein
ab wo ajnabi laDki
dusre ek aawara
par nigah karti thi
us ko dekh kar phir wo
be-panah hansti thi
wo ajib laDki thi wo ajib laDki thi
Nazm
Ek ajnabi laDki
Afeef Siraj