ba-zahir ye lagta hai
us malgaji subh ko sab sahaaron ne jaise
achanak tera sath chhoDa
sahar ne zamin par qadam jab rakha
to achanak zamin bewafa ho gai
ubharta hua aaftab
ek hi na-gahan laghzish-e-pa se yun laDkhaDaya
ki maghrib ke patal mein munh ke bal ja samaya
achanak farishte kafan saeban ki tarah tan kar
aasmanon se utre
gulon ki mahak ki jagah dafatan bu-e-kafur ki sard-mehri ne le li
shajar ke badan se nai konpalon ki bajae KHizan phuT nikli
ba-zahir ye lagta hai
lekin bhala hadsa ek-dam kab hua hai
bahut din se is sar-ba-mahar aatishin raaz ka gung fita
KHamoshi se jalta chala ja raha tha
fana ke garajte hue aabshaaron ke upar tana
rassiyon ka ye pul
ek muddat se galta ja raha tha
Nazm
Ek achanak maut ka nauha
Khursheed Rizvi