abhi abhi hi to sapne mein yun laga mujh ko
bula rahi hai koi an-suni sada mujh ko
miThas oDh ke dhimi si gungunahaT ki
na jaane zer-e-lab aawaz kah gai hai kya
hanuz gosh-bar-awaz hai dil-e-hairan
kisi ki baat adhuri hi rah gai hai kya
jhaDi thi nind ki Tahni se jo sada ki kali
KHud aagahi ke tamawwuj mein bah gai hai kya
ajab nahin ki tasawwur se koi parchhain
nikal ke andhi guphaon ki samt lapki ho
ajab nahin ki nam-alud shab ki chaukhaT par
samay ki mauj tanaffus ne aankh jhapki ho
ajab nahin ki sulagte sukut ki rau mein
kahin se narm si aahaT ki bund Tapki ho
ajab nahin ki kisi adh-khile shagufe ne
hawa ke unghte jhonke ki piTh thapki ho
nuqush-e-pa mein kisi KHush KHiram ne shayad
sada-e-pa ka rasila sa aks chhoDa ho
falak se TuT ke shayad kisi sitare ne
sukut-e-shab ke hasin aaine ko toDa ho
tilism-e-yaad ne shayad taraste kanon mein
kisi ki sim-gun sanson ka ras nichoDa ho
ajab nahin ki mere zehn ke kiwaDon se
kisi bhaTakti sada ne sar apna chhoDa ho
rahi sada-e-pur-asrar si na KHwab raha
raha ye aaKHir-e-shab shab ka mahtab raha
Nazm
Ek aawaz
Takht Singh