اردو हिंदी
Ek aam waqia | Shaahi Shayari
ek aam waqia

Nazm

Ek aam waqia

Geetanjali Rai

;

mujhe na samajhne wale kuchh na samajhne wale
aksar milte hain aur aage bhi milte rahenge

dekho tumhaare hone na hone se koi KHas farq nahin aaya
in ki be-ruKHi aksar tumhaari shakl le leti hai

aur mujhe tumhaari kami ka zara bhi ehsas nahin hota
kash tumhein bhi kuchh aise pagal log milen

jo tumhein samajhne ki zid mein aur pagal hue ja rahe hon
aur tum

ek aam waqia samajh ke bhul jao mujhe