wo ek aam si laDki hai dekh kar jis ko
na jaane kyun mujhe aisa KHayal aata hai
ki us ke hansne ka andaz ye batata hai
hui nahin hai gham-e-dil se rasm-o-rah abhi
paDi nahin hai koi choT abhi rag-e-jaan par
kisi nigah se uljhi nahin nigah abhi
wo ek aam si laDki ek aisa jazba hai
mili nahin jise alfaz mein panah abhi
wo ek aam si laDki hai jaise chhai hui
mere jawan KHayalon pe be-KHudi ki tarah
KHayal aata hai ek phul banne wali hai
wo kam-sini jo hai munh-band si kali ki tarah
jo rang ban ke hai mahbus us ke paikar mein
wo bu-e-husn to phailegi raushni ki tarah
wo ek aam si laDki hai jis ke sada nuqush
chamak uTThenge mohabbat ki sard aahon se
jahan pe phul to kya dil bujhe hue honge
guzarne wali hai wo in hasin rahon se
abhi to KHair se masumiyat Tapakti hai
magar sharab bhi Tapkegi un nigahon se
wo ek aam si laDki hai jis ke bare mein
na jaane zehn mein aate hain kyun KHayal kai
magar baDe hi tahayyur se aaj subah ke waqt
suni hai main ne mohalle mein ek baat nai
guzishta shab ko wahi ek aam si laDki
KHud apne ghar ke mulazim ke sath bhag gai
Nazm
Ek aam si laDki
Naresh Kumar Shad