اردو हिंदी
Ehsas | Shaahi Shayari
ehsas

Nazm

Ehsas

Naz Butt

;

us lams ka koi nam to ho jo tujh ko soch ke jagta hai
jo tere zikr ke aate hi rag rag mein dauDne lagta hai

kyun tere nam ko sunte hi meri sans mahakne lagti hai
ehsas nashe mein hota hai har fikr bahakne lagti hai

ek nadida ehsas meri poron mein ghulne lagta hai
ek band daricha hasrat ka KHwabon mein khulne lagta hai

jab chand nikal kar baadal se aankhon mein sapna bota hai
ek KHwahish ki tanhai se bedar junun jab hota hai

jab dasht-e-talab mein pyas meri aankhon ko nigalne lagti hai
jab aas umid ki duniya mein ek sham si Dhalne lagti hai

jis waqt ghamon ki wahshat ka ek saya mujh par jhukta hai
us waqt tera ehsas mere pahlu mein aa kar rukta hai

aur us ehsas ke chhute hi main tabinda ho jati hun
meri sansen chalne lagti hain phir se zinda ho jati hun