meri aankhon mein hai be-KHwabi ke nashtar chubhan 
har taraf tira-shabi, har taraf ek ghuTan 
koi shoala na kiran 
sard hone ko hai dil ki dhaDkan 
tak rahi hai mujhe kis hasrat se 
mere bistar ki har ek dard se bharpur shikan 
Das na le dil ko ye tanhai ke ehsas ki kali nagan 
ai mere KHwab ki dil-kash pariyo 
gungunati hui zulfon ki ghaTa 
surKH ruKHsar 
damakte hue lab 
nashsha-e-chashm-e-fusun-saz liye 
marmarin jism liye 
shoala-e-awaz liye 
aa sako aaj agar aa jao 
meri tanhai ko chamka jao 
sard hai aatish-e-dil 
apne aanchal ki hawa se use dahka jao!
        Nazm
Ehsas
Iftikhar Aazmi

