raat plate mein dukh rakkha tha
subh ke cup mein be-zari thi
sham chae ke sath paDa tha
dil ki surat wala barfi ka ek TukDa
aaj mere kamre mein phir se hijr ki Table par
dil ka piyala yun ashkon se bhara hua tha
andar se kuchh TuT gaya tha
aur ek jag yaadon se bhara meri jaanib dekh raha tha
ek gilas thakan ka KHali
jaise dar se koi sawali
bin pae hi lauT gaya tha
nind ke takiye par sar rakkha
mere sirhane kitab tumhaari
mera jiwan dam sadhe chup-chap paDa tha
main ne junhi hath baDhaya
lafzon se ek chehra ubhra
raat bahut hi bit chuki hai
ab so jao
Nazm
Ehsas
Almas Shabi