pani aurat aur ghalazat
aksar KHwabon mein aate hain
mujh ko pareshan kar jate hain
aurat ek hayula surat
kabhi ajanta ki wo murat
kabhi kabhi japani guDiya
kabhi wo ek sagar shahzadi
aab-e-rawan ke dosh pe leTi
maujon ke halkore khati
sanp ki aankhon mein angara
us ki har phunkar mein wahshat
apne har andaz mein dahshat
kabhi wo mujh par hamle karta
kabhi main us ke sar ko kuchalta
dhan ke khet mein Thahra pani
dariyaon mein bahta pani
lahraata bal khata pani
tughyani mein bhanwar banata
sailabon mein shor machata
ghazab mein phailta baDhta pani
koDon ke Dheron ke jaisa
unche niche Tilon jaisa
milon ke raqbe mein phaila
dekhta hun insani fuzla
kabhi to main pata hun KHud ko
apni ghalazat mein hi luthDa
kabhi main apne hathon se hi
ghar se bahar phenkta dekhun
apne ghar walon ka fuzla
kabhi kamoD mein tairta dekhun
kabhi to mez pe khane ki hi
kabhi kisi duje kamre mein
aksar apne kamre mein bhi
apne bistar par hi dekhun
ya phir
dur KHalaon ke aangan se
apne ghar mein ghusta dekhun
KHwabon ka asrar hai kaisa
KHwabon ki lazzat hai kaisi
jin mein jakDa
sochta hun main
waqai ye sab KHwab hain yawar
KHwab-numa koi bedari
ya be-manzil rasta koi
ya phir ek tilism hai koi
ek din phir aisa hota hai
sanp aurat ko Das leta hai
pani mein ghalazat mil jati hai
ab bas sanp hai aur ghalazat
par ye shayad KHwab nahin
Nazm
KHwab-e-haqiqat
Yawar Amaan