ghairat hai ki haya
nam us ka na liya jis ko pukara us ne
us gai raat ke sannaTe mein kaun aaya hai
band darwaze ke majas mein to sita hi hai
aur bahar
koi rawan to nahin
kaun hai kaun ki sahmi si sada
wo bhi kuchh kah na saka main ke siwa
dastaken ram ke maKHsus zaban rakhti hain
gosh-e-sita ke liye muzda-e-jaan rakhti hain
bulb raushan hua aur chap qadam ki ubhri
chuDiyan bol uThin
ungliyan kaTh ki mizrab pe phir reng gain
donon paT KHwab se chaunke to man chiKH uThe
ek hangama hua raat ka afsun TuTa
muntazar saya-e-KHajalat ke dhuan se ubhra
raat kafi hui tum jag rahi ho ab tak
aaj phir der hui
asal mein aaj ajab baat hui
Thik hai Thik koi baat nahin
muntazir shaKH jo lachki to kai phul jhaDe
aap munh hath to dho len pahle
aur minTon mein main sal ko zara garm karun
pyar ki aag bhi raushan hui stowe ke sath
dasht-e-tanhai ke ifrit bahut dur hue
waswase jitne the dil mein sabhi kafur hue
harakat aur hararat mein magan donon badan
ye kiraya ka makan hai ki mohabbat ka chaman
ek ek luqma pe hoti hain nigahen do-chaar
ek ek jure mein mahlul tabassum ki bahaar
muztarib dil mein munawwar hain masarrat ke charagh
jaani-pahchani si KHushbu mein hai mashur-e-dimagh
aankhon aankhon mein siyah raat kaTegi ab to
honT se honT ki saughat baTegi ab to
Nazm
Muntazar saya-e-muntazir aankhen
Zaheer Siddiqui