اردو हिंदी
Tahzib ki aayat | Shaahi Shayari
tahzib ki aayat

Nazm

Tahzib ki aayat

Daud Ghazi

;

jab insan ne paDhna sikha
paDhne laga tahzib ki aayat

miTTi
aag

hawa
aur pani

dushman sare
ban gae yar

us ki aayat ki tafsiren ab
itni hain

ki aql hai dang
lekin ek aisi hai baat

jis se ki banti hai baat
in be-ginti tafsiron ki

har ek insan insan hai
jab insan ne paDhna sikha

paDhne laga tahzib ki aayat
girne lagin diwaren

khulne lage darwaze
jin logon ne

diwaren banwai hain
bhul gae tahzib ki aayat