aaj may ka pahla din hai aaj ka din mazdur ka din hai
zulm-o-sitam ke madd-e-muqabil hausla-e-jamhur ka din hai
aaj ka din ye ilm-o-hunar ka fikr-o-amal ki fath-o-zafar ka
aaj shikast-e-zulmat-e-shab hai aaj farogh-e-nur ka din hai
sadiyon ke mazlum insan ne aaj ke din KHud ko pahchana
aaj ka din hai yaum-e-anal-haq aaj ka din mansur ka din hai
apne lahu ka parcham le kar aaj ke din mazlum uThe the
ek nae unwan ki riwayat ek nae dastur ka din hai
ab na kabhi hum zulm sahenge jabr-o-sitam pe chup na rahenge
ek nae elan ki saat ek nae manshur ka din hai
Nazm
Yaum-e-may
Suroor Barabankvi