aise lagta hai ki sahra hai koi
dur tak phaili hui ret ko jab dekhta hun
meri aankhon mein wahi pyas chhalak aati hai
ruh ki pyas chhalak aati hai
phir hawa waqt ke hathon mein hai talwar ki manind rawan
phir sulagta hun faqat maut mujhe bhati hai
dil mera aaj bhi afsurda udas
dil badalta hi nahin
raste rose badal lete hain rup
raste faiz ki shahrah ki tarah chur niDhaal
aur patjhaD mein bikharte hue patton ki tarah
log hi log hain jis or nazar jati hai
rog hi rog hain jis or nazar jati hai
phir bhaTakta hun faqat maut mujhe bhati hai
garche ye KHauf ki diwana kahegi duniya
garche ye Dar ki main sach-much hi na pagal ho jaun
phir bhi gham khane ki fursat to nikal aati hai
apne gun gane ki aadat hi nahin jati hai
dur jate hue lamhon ki sada
galiyan mujh ko diye jati hai
is se pahle bhi junun tha lekin
ab ke is taur se bikhre hain hawas
koi tartib nahin
aise lagta hai ki sahra hai koi
dur tak phaili hui ret ko jab dekhta hun
meri aankhon mein wahi pyas chhalak aati hai
ruh ki pyas chhalak aati hai
zindagi meri dhuen ki surat
phailti aur bikhar jati hai
phir hawa waqt ke hathon mein hai talwar ki manind rawan
phir main marta hun faqat maut mujhe bhati hai
Nazm
Faqat maut mujhe bhati hai
Zahid Dar