zamane bah gae kitne
wahi aangan jo wusat mein mujhe duniya laga karta tha
wo do jast nikla
jis jagah dalan tha
ab us jagah hamwar miTTi munh chiDati hai
idhar hamwar miTTi se udhar
wo Dheriyan miTTi ki kab se muntazir hain
koi milne hi nahin aata
yahin the wo
jo ab miTTi hain
jin ke KHal-o-KHad pure badan par zor de kar yaad karta
hun
yahin the wo
mere bakse mein yaadon aur dhagon juDi ainak to rakkhi
hai
magar dada ki
nili jhilmilate paniyon jaisi do aankhen bah gai hain
aur dadi ki sunai sab kathaen
KHak andar rah gai hain
waqt ab bhi bah raha hai
meri aankhon
aur qabron se
wahan aangan ke sukhe peD tak
sare mein itni KHak uDti hai
dikhai kuchh nahin deta
Nazm
Aabai makanon par sitara
Zeeshan Haider