purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
hamesha un ke honTon par
muqaddas aayaton ka wird rahta tha
hamesha un ki peshani
riyazat aur ibaadat ki nishani ko liye
raushan raha karti
wo pancho waqt
masjid ke minaron se azan dete
wo milon pa-piyaada
tez dhupon mein safar karte
KHuda ki bartari us ki ibaadat ke liye
logon mein ja kar
raat-din tabligh karte
log un ko marhaba kahte
hikayat hai
wo barson baad
jab apne gharon ko lauT kar aae
unhen ye dekh kar hairat hui thi
un ke beTon ne
unhen bilkul na pahchana
gharon ke aanganon ki bahami taqsim kar li thi
makanon ke nae naqshe banae the
aur un ki sari chizen wo
gharibon aur mohtajon mein ja kar
banT aae the
Nazm
Aaqibat-andesh beTe
Zubair Rizvi