jal bujhe aankhon mein KHwabon ke mahakte paikar
ab kahin koi sharara hai na shoala na dhuan
kho gae waqt ki pathrili guzargahon par
chand be-nam tamannaon ke qadmon ke nishan
ek parchhain hun jis mein na koi rang na rup
sirf ehsas ho tum jis ka koi nam nahin
main bhi pa-basta hun haalat ki zanjiron mein
tum pe bhi ahd-e-faramoshi ka ilzam nahin
mere ehsas pe bhi barf jami hai jaise
aanch deta nahin jazbaat ko koi mausam
dhaDkanen aaj tumhaari bhi hain be-lafz-o-bayan
ab barasti nahin dildar nazar se shabnam
main bhi kuchh surat-e-haalat se bargashta hun
tum bhi ho apne KHayalat pe pachhtai hui
main ne bhi jaan liya hai ki haqiqat kya hai
tum bhi KHwabon se nazar aati ho uktai hui
jab na main main hun na tum tum ho to phir aankhon mein
ye giranbar-e-ehsas-e-shanasai kyun
bar ho jaan pe to paiman-e-rifaqat kaisa
bojh hun dil pe to jazbon ki pazirai kyun
mujh ko yun pyar ki ruswaiyan manzur nahin
tum bhi is rishte pe ilzam na aane dena
meri sanson mein na mahkegi tumhaari KHushbu
tum bhi honTon pe mera nam na aane dena
Nazm
Etiraf
Shahid Akhtar