main ne KHwabon ke saman-rang shabistanon mein
loriyan de ke gham-e-dil ko sulana chaha
talKHi-e-zist se be-zar-o-pareshan ho kar
talKHi-e-zist ka ehsas miTana chaha
aur main Darte jhijakte kisi mujrim ki tarah
aa gaya teri mohabbat ke paristanon mein
chhoD kar apne taaqub mein nigahen apni
kho gaya kakul-o-ruKHsar ke afsanon mein
main ne socha tha tere jism ki ranai se
sang-dil zehn ki taqdir badal jaegi
zindagi waqt ke sahra ki alamnak sumum
tere anfas ki mahkar mein Dhal jaegi
aah ek lamha bhi lekin mere sine ki taDap
tere gate hue mahaul ko apna na saki
teri zulfon ke ghane aur KHunuk sae mein
mere jalte hue idrak ko nind aa na saki
teri hansti hui labrez chhalakti aankhen
meri aankhon mein kabhi rang-e-tarab bhar na sakin
tere daman ki hawaen thin junun-KHez magar
mere ehsas ki qindil ko gul kar na sakin
main ne socha tha magar kitna ghalat socha tha
zindagi ek haqiqat thi fasana to na thi
meri duniya mere KHwabon ki sunahri duniya
nauha-e-gham thi masarrat ka tarana to na thi
ab ye samjha hun ki is dard bhari duniya mein
mere aaghaz ka anjam yahi hona tha
KHwab phir KHwab the KHwabon ka bharosa kya tha
hasil-e-kahish-e-nakaam yahi hona tha
zehn par lakh fusun-kar taKHayyul hon muhit
lakh pardon mein nigahon ko chhupaya jae
talKHi-e-zist ka ehsas nahin miT sakta
talKHi-e-zist ko jab tak na miTaya jae
Nazm
Etiraf
Naresh Kumar Shad