is tarah se KHafa hue jaanan
jaise main ne baDa gunah kiya
jaise mandir ko Dah diya main ne
jaise masjid kahin girai ho
jaise ek shahr-e-jaan tabah kiya
han teri baat ek nahin mani
tere bahrup se raha shikwa
han tera dil faqat nahin rakkha
han yahi ek KHata hui mujh se
teri jannat se ho gaya mahrum
warna kya kya nahin kiya main ne
tujh ko har sans mein jiya main ne
kaT li zindagi saza ki tarah
han yahi ek gunah hai jaanan
jis ka main e'tiraf karta hun
Nazm
Etiraf
Khursheed Akbar