baat kahna nahin aati mujhe likhna nahin aata
satr kahne ka hunar nazm banane ka saliqa
baat karne ka qarina mujhe kuchh bhi nahin aata
koi surat fan-e-arz-e-hunar aa jae mujhe bhi
sham ko sham kahun aur nigahon pe andhere utar aaen
subh ko subh likhun aur pas-e-satr-e-tapan dhup-bhara din nikal aae
kal bhi tasir-e-tahi tha mera daman-e-suKHan aaj bhi tasir-e-tahi hai
mera daman-e-dua sar-e-darbar-e-ata aaj bhi faizan-e-talab hai
mere maula tera banda tere ikram ke laeq nahin lekin
mera bachpan tere inam ka shaeq hai abhi tak
kya kahun koi bhi shai asl pe qaem nahin rahti
baat pairae ke sahra mein nikal jae to ghar lauT na pae
istiare ki zaban chaTne aa jae mere ijz ki shoKHi mere jazbon ki hararat mere lafzon ki basarat
har kinaya mere tapte hue jazbaat-e-tapan rakh ki jhilli ki tarah oT mein le le
saf-shaffaf tapan rakh ki chadar
haule haule mere jazbaat ke sar tak sarak aae
mere maula mera fan bhi meri be-jaan mohabbat ki tarah nam se tahi hai
phir bhi ai malik-e-izzat
jaane kyun mere gul-andam murabbi mujhe chhune pe raza-mand nahin hain
jaane kyun mere gul-andam ko Dar hai
rakh ke Dher mein shayad koi jazba abhi zinda ho aur is dast
hina-rang ki poren na jhulas de
lafz bhobhal ki tahen hain
aatish-e-jazb kahin sarw-e-falak-bos ka daman na jala de
mere maula mujhe kuchh bhi nahin aata
baat karne ka hunar sher sunane ka saliqa
mere waris mera sina tera ghar hai
mere mohsin tera ghar bab-e-kusha hai
koi aae mera dil bab-e-kusha hai
lafz bhobhal ki tahen hain
sach to ye hai meri bhobhal meri be-jaan mohabbat ki tarah gham se tahi hai

Nazm
Etiraf
Khalid Ahmad