haqiqi dushmani ko dosti ke makr par war pairahan par
KHwah is mein faeda hi kyun na ho
tarjih deta hun
ki meri tarbiyat mein
ya mere mahaul mein ya phir jibillat mein
yahi KHami wo KHami hai
jo wajh-e-tishna-kaami hai
ki main sar ke ewaz bhi
sach se ru-gardan nahin hota
kabhi lalach mein aa kar jhuT ka mehman nahin hota
Nazm
Etiraf
Inam-ul-Haq Javed